Sahir Ludhianvi Sahab revises his old song for the new venture.
It goes like this (*Poet unknown*):
yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya,
yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya,
yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya;
yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?
yahaan ek khilona hai programmer ki hasti,
yeh basti hai murda bug-fixers ki basti,
yahaan par to raises hai, inflation se sasti,
yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?
har ek keyboard ghayal, har ek log-in pyaasi
excel mein uljhan, winword mein udaasi,
yeh office hai ya aalame microsoft ki,
yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?
mere saamne se hataa daalo yeh modem,
tumhaara hai tumhi sambhaalo yeh computer,
yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?